garmi aur kisan
उफ्फ! यह गर्मी, और यह धूप
न दिखे हरी घास का कोई तिनका
पंछी ने भी आमबर से मुह मोड़ लिया
न गूँजे मधूर संगीत, न दिखती तितलिय
उठे जब सुबहा तो
वो सूरज के पहेली किरण
शीतल शीतल हवाए
मधाम उज्यले को चीरती आई
वोही सूरज के किरण ए
जान लेने को आती है
सुबहा शाम जो प्यास बुझाए
गर्मी के दुपहरी में
बूँद बूँद को तरसती है
पीले पड़े पेधो के पत्ते
अब तो आखरी भी झढ़ राहा है
नही हरी शाखाओ की उमीद
कतरा कतरा भूमि फॅट रही है
कही कोई किसान दिखता है
मज़दूरी और सिर्फ़ पसीना
जलती गर्मी में लहराते
और खून से सिचे गये वो
खेत नज़र आते है
तरसते है पानी नही
बंजर गाओं नज़र आते है
महेलो में बैठे है वो सेठ
ग़रीब के अस्क पीते नज़र आते है
*
uff! yeh garmi, aur yeh dhup
na dikhe hari ghas ka koi tinka
panchee ne bhi amber se muh mod liya
na gunje madhoor sangeet, na dikhti titliya
uthe jab subha to
wo suraj ke paheli kiran
sheetal sheetal hawaye
madham ujyale ko cheerti aayi
wohi suraj ke kiran e
jaan lene ko aati hai
subha shaam jo pyaas bujhaye
garmi ke dupahri mein
bund bund ko tarsati hai
peele pade pedho ke patte
ab to aakhri bhi jhadh raha hai
nahi hari shakhao ki umeed
katra katra bhumi phat rahi hai
kahi koi kisan dikhta hai
majdoori aur sirf paseena
jalati garmi mein lahrate
aur khun se siche gaye wo
khet nazar aate hai
taraste hai paani nahi
banjar gaon nazar aate hai
mahelo mein baithe hai wo seth
gareeb ke ask peete nazar aate hai
_________________________________________________________________________








May 22nd, 2008 at 3:35 am
wow, a nice poetry on nature, but in delhi its raining from last ten days, so u are welcome to enjoy the rain over here…..
May 23rd, 2008 at 10:09 am
June 12th, 2008 at 8:20 am
cool man!!!!
June 12th, 2008 at 9:17 am
Kya baat hai … garmi main cool cool !!
July 26th, 2008 at 7:45 am
Looking for poetry “Nahi hua hai abhi savera suraj ki laali pahachaan, Chidiyon ke jagne se pahale khaat chhod uthh gaya kishaan……..”. Would be gratful if some one can mail me ful poetry.