Hai Ishq hi Ishq-Sher
*pic by Tosha*
आप के प्यार का अफसाना, आप के आँखो का शरमाना
ख्वाइशहै हमारी एक दिन आप के दिल मे है बस जाना
भीगे भीगे लब हो या फिर यह नम उदास आँखें
नीति और आप के प्यार की कहानी, हमको है जाग को सुनना
*
aap ke pyaar ka afsana, aap ke aankho ka sharmana
khwaish hai hamari ek din aap ke dil me hai bas jana
bhige bhige lab ho ya phir yeh nam udas aankhen
niti aur aap ke pyaar ki kahani, hamko hai jag ko sunana
***
मेरे हमसफ़र, मेरा हाथ थम लो
सीने मैं छुपा लो यह मोहब्बत
न कही यह पाक अहसास बदनाम हो
हम तुम खो जाए कही, जहा न शाम हो
*
Mere hamsafar, mera haath tham lo
seene main chupa lo yeh mohabbat
na kahi yeh paak ahsas badnaam ho
hum tum kho jaye kahi, jaha na sham ho
***
उनकी मोहब्बत उनकी दीवानगी
कुछ ऐसी है अपनी प्रेम कहानी
सोचा न था यह आच सुलगती रहेगी
की गम को भी एक दिन शिकायत होगी
*
Unki mohabbat unki deewangi
kuch aisi hai apni prem kahani
socha na tha yeh aach sulagti rahegi
ki gum ko bhi ek din shikayat hogi
***
प्यार मे यह बेकरारी मीठा मीठा दर्द लाती है
यह दर्द कभी जुदाई के कभी दीदार की याद दिलाती है
यह तो दास्तान-ए-मोहब्बत है, अनमोल अहसासा
इश्क़ मे बेवफ़ाई भी कभी कभी हसीन रंग लाती है
*
pyaar me yeh bekarari mitha mitha dard lati hai
yeh dard kabhi judai ke kabhi deedar ki yaad dilati hai
yeh to daastan-e-mohabbat hai, anmol ahsasa
ishq me bewafai bhi kabhi kabhi haseen rang lati hai
***
जो किया है तुम्हे इज़हार-ए-इश्क़ आपना
आज अकाल के बाद बारिश होगी
इश्क़ मैं जाम जो तुमने खंखाया है
आज धरती हारी लाल होगी
*
jo kiya hai tumhe izhar-e-ishq aapna
aaj akaal ke baad barish hogi
ishq main jaam jo tumne khankhaya hai
aaj dharti haari laal hogi
***
आश्की मे आप की खुद को भुला दिया
दीवानगी मे आप की खुद को मिटा दिया
यह मोहब्बत ही तो है सनम जो तुम पे मर मिटे
हमने पाने के लिए आप को, ज़माना भुला दिया
*
aashki me aap ki khud ko bhula diya
deewangi me aap ki khud ko mita diya
yeh mohabbat hi to hai sanam jo tum pe mar mite
hamne paane ke liye aap ko, zamana bhula diya
***
जिनकी बात बन गयी वो हर पल रोते है
पर फिर भी दिल तो आयेगा किसी की न चल सकी
*
jinki baat ban gayi wo har pal rote hai
par phir bhi dil to ayegaa kisi ki na chal saki
***
इस दिल से तमन्ना हम तेरी मिटा न सके
तेरी बेवफ़ाई का वजूद भी हम ठुकरा न सके
*
is dil se tamanna hum teri mita na sake
teri bewafai ka vajood bhi hum thukra na sake
_________________________________________________________________________








May 12th, 2008 at 9:16 am
आश्की मे आप की खुद को भुला दिया
दीवानगी मे आप की खुद को मिटा दिया
यह मोहब्बत ही तो है सनम जो तुम पे मर मिटे
हमने पाने के लिए आप को, ज़माना भुला दिया
*
aashki me aap ki khud ko bhula diya
deewangi me aap ki khud ko mita diya
yeh mohabbat hi to hai sanam jo tum pe mar mite
hamne paane ke liye aap ko, zamana bhula diya
***
जिनकी बात बन गयी वो हर पल रोते है
पर फिर भी दिल तो आयेगा किसी की न चल सकी
*
jinki baat ban gayi wo har pal rote hai
par phir bhi dil to ayegaa kisi ki na chal saki
***
इस दिल से तमन्ना हम तेरी मिटा न सके
तेरी बेवफ़ाई का वजूद भी हम ठुकरा न सके
*
is dil se tamanna hum teri mita na sake
teri bewafai ka vajood bhi hum thukra na sa
May 12th, 2008 at 9:16 am
Ek Titli Anek Titiliya - Unity
इश्क़ मे गुम सुम आँखें
Unki Chahat
Na Raha aab Raaz Koi
Aaye Hai Dil se Dil Milane
Ishq hai Zindgi
2 liners on Ishq - Sher
Bombay Rockers-Music n Masti
Hai Ishq hi Ishq-Sher
Collection of Sher on Dosti
I’m a Linkin Park Fan
She Walked Along the Beach - Her Destiny
Aap Ki Hasi - Shayari
Khayal-Ramp Music
May 12th, 2008 at 9:18 am
Yeh kya hai Sir Ji!!
May 27th, 2008 at 4:17 am
very fine.
but meri kahani kuch aisi hai- ek ladki jo ki ghar ke pas hi rahti hai. pahle to woh dosti banane ke liye kareeb aayi phir mere ghar walon ko aitraz hone laga. is dar se ki uske ghar pata chal jayega. woh mere ghar to aati hai par. mere se kewal mobile par hi baat karti hai aur bolti hai ki main kewal aapki friend hoon, aur kuch nahi hai lekin main janta hoon pahle woh aise nahi thi. maine usko bataya ki main usko bahoot chahata hoon. Use sab pata hai aur use yeh bhi malum hai ki main uske liye paresan hoon. maine usko phone par bola bhi ki yeh kaisi dosti hai jo door se hi dost kahte ho aur paas bhi nahi aate pahle ki tarah.
ab mera uske bina ji nahi lagta hai.
Please help and advise me what can i do for this matter.
waise main naukri karta hoon aur meri age 27 years hai aur uski age 18 years hai.
Thanks and regards,
chunnu
May 27th, 2008 at 9:45 pm
namaste! Chunnu Ji!!
aap yaha aaye apna haal-e-dil bayan kiya, achha laga| umeed karti hun aap ki aawaz un tak pahuch gai hogi| shayad wo yeh padh ke aap ke bare main kuch soche|
kahete hai - dil hai to dard bhi hoga …
aap ki baat padh ke hame lagta hai - dil hai to umeed bhi hogi … dil mein umeed hai to koi rasta bhi hoga …
nirash na ho …. kyo ki hum yeh bhi kahate hai ki…
mohabbat mein ghati na kar, umeed ki maya mein
dosti unki tu na gava, unhe pane ki cheshta mein!!
pass nahin to sath nahin, na ghir vahem ke jal mein
dosti unki sir ankho pe saja, unki doli utha tu dil mein!!
May 27th, 2008 at 9:48 pm
नमस्ते! चुन्नू जी!!
आप यहा आए अपना हाल-ए-दिल बयान किया, अच्छा लगा| उमीद करती हूँ आप की आवाज़ उं तक पहुच गई होगी| शायद वो यह पढ़ के आप के बारे मैं कुछ सोचे|
काहेते है - दिल है तो दर्द भी होगा …
आप की बात पढ़ के हमे लगता है - दिल है तो उमीद भी होगी … दिल में उमीद है तो कोई रास्ता भी होगा …
निराश ना हो …. क्यो की हम यह भी कहते है की…
मोहब्बत में घटी ना कर, उमीद की माया में
दोस्ती उनकी तू ना गवा, उन्हे पाने की चेष्टा में!!
पास नहीं तो साथ नहीं, न घिर वहेम के जल में
दोस्ती उनकी सिर आँखो पे सज़ा, उनकी डोली उठा तू दिल में!!