Teri mohabbat thi bewafa

दिल में वो ऐतबार न रहा
तुम्हे हम्मसे प्यार न रहा
ज़िंदगी हुए है मायूस अब
जो तुमने हुमको भुला दिया
तड़प तड़प के इस दिल ने कहा
मेरी मोहब्बत को तू न ठुकरा
चुबती है यह पलखो पे नामी
कैसे तूने सब कुछ भुला दिया
तेरी मोहब्बत थी बेवफा
तेरे इरादो में थी दागा
देखती है क्यो मुझे खड़ी खड़ी
मैने भी सब कुछ भुला दिया
*
Dil mein wo aitbar na raha
Tumhe hammse pyaar na raha
Zindgi hue hai mayus ab
Jo tumne humko bhula diya
Tadap tadap ke is dil ne kaha
Meri mohabbat ko tu na thukra
Chubti hai yeh palkho pe nami
kaise tune sab kuch bhula diya
Teri mohabbat thi bewafa
Tere irado mein thi daga
Dekhti hai kyo mujhe khadi khadi
Maine bhi sab kuch bhula diya
_________________________________________________________________________







November 14th, 2008 at 5:55 am
Uss ne kaha
Kya Ab Bhi Mere Bare mei sochte ho ?
Maine kaha
Mujhe Apne Socho Per Ekhteyar Hi Kub tha ….
Uss ne kaha
Kya Mere Baad Kisi Sey Muhabbat Hui tumhe ?
Maine kaha
Muhabbat Duhraya Janey Wala Sabaq Nahi hai….
Uss ne kaha
Kya Mujhe Bewafa K Naam se yaad karte ho ?
Maine kaha
Hamare Dermeya Wafauon Ka Taluq He Kub Tha ….
Uss ne kaha
Mere Zikr Per Ro Lete Ho Ge ?
Maine kaha
Barishon Ka Mousam Guzer Chuka Hai…..
Uss ne kaha
Tumhare Lehjey mei bahut Udasi Hai ?
Maine kaha
Bahaar Per Khizou Ka Mousam Utar Chuka Hai ….
Uss ne kaha
Tumhare Aankhon Main Itni Gahrai Si Kyu Hai ?
Maine kaha
Sumander Ki Gahrai Door Sey Kub Nazar Aati Hain….!!!
November 14th, 2008 at 6:02 am
Muhabbat” kay 2 hi “MUQAAM” hotay hain
aik sab aasmanon say ouncha
or
aik sab zamenon say necha
“Muhabbat” kay 2 hi “MOUSAM” hotay hain
aik pholon say bhari bahar ka
or
aik khusk jharion pay mustamil khizan ka
“Muhabbat” kay 2 hi “WAQT” hotay hain
aik mahakti or ujli subah ka
or
aik tanha or udaas shaam ka
“Muhabbat” kay 2 hi “LIBASS” hotay hain
aik laal joora
or
aik safaed kafan
“Muhabbat” kay 2 hi “PAL” hotay hain
aik zindagi bhar ki khushi ka
or
aik laambi judai ka
“Muhabbat” kay 2 hi “ASOOL” hotay hain
aik kisi kay lie jeena
or
aik kisi pay marna
“Muhabbat” kay 2 hi “WAADAY” hotay hain
aik kisi kay sath jeenay ka
or
aik kisi kay sath marnay ka
————————————————————